Monday, June 18, 2012

Hai Yakeen Humne...

ek khwab hai ki dekhen tumhe ek bar phir se,
usi nazar se, usi asar se,
milo to zara ek baar phir se tum humein,
hai yakeen ki kho baitho gey apna dil ek bar phir se

yun hi nahi laga kar rakhte hai takiye ko aapne jigar se hum,
ek yakeen hai ki tum ek din aake lag jao gey gale is dil se,
chahe jitna jal rahe hai hum is milne ki aarzo mein
lekin hai yakeen ki maum ki terha pighal kar tut jaogey tum is dil ke

ek khyal hai yehi jo ban baitha hai muskurahat ka sabab,
lekin aansoo bhi to aate hain teri hi khayalon ki mehfil se,
par sochte hai...par sochte hai ki kya humne jana hota apne is masum dil ko kabhi?
agar lagaya na hota is lakhte jigar ko tumse, aur na toda hota tumne issee is kadar se 

Ye khwab ban baithi hai wo chaht jis chahat se tum milte the kabhi,
kehte they tum humein  aapna masiha aur chodte they humein na  kabhi,
hai yakeen ki ek bar phir aao gey tum, kyunki kuch to  baaki hai abhi,
lutana hai humein wo pyaar tumpe jo tum ne kabhi samjha hi nahi